FUNMASALACENTER

Relax Here with Fun and Entertainment

Sunday, March 7, 2010

poetry




Wo Boli- Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein
Main Bola- Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Ha
Wo Boli- Aarzoin Dil Ke Andsar Been Karti Hain


Main Bola- Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain
Wo Boli- Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola- Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Woh Boli- Koi Shab Tu Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain


Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein


Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun
Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti


Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai
Main Bola, Aadam-O-Hawa Ki Chahat Ki Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein


Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai


Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota Hai
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne


Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne


Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein


Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mein Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai


Woh Kehti Hai, Amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai
Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai


Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho
Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Maut Mujh Se Maan Jaye Gi


Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon


Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho


Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri


Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho
Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain


Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon


Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein


Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-Zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai


Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye
Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho
Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain


Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein
Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein


Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya
Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki
Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne


Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai
Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki
Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar


Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein
Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai
Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila
Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai
Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein


Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai
Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain


Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga
Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai
Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon
Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan
Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain


Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai
Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise
Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai
Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai


Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai
Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa
Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai
Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun


Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain
Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya
Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti
Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai
Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon


Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi
Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi
Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain
Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se
Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai


Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga
Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai

Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon

Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai
Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre
Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre


Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen
Main Kehta Hoon Nke Yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain
Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh Ehsaas To Ho Ga Khuda Ko Bhi


Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain
Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo
Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain


Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab
Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko
Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein


Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai
Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai
Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho


Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai
Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai
Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil


Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai
Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa Ke Bas Se Bahir Hai
Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi


Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai
Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai
Woh Kehti Hai, Khuda Milta To Us Se Baat Karti Main

Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta

Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha
Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho
Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen


Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi
Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen
Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein
Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen


Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain
Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain
Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho

Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein

Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao
Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon
Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin
Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai


Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon
Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala
Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo
Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho Jayein
Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein


Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein
Main Kehta Hoon, Fana Fi Alnar Hasat O Bod Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein


Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain
Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain


Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte
Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon
Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai


Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai
Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain
Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain


Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge
Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota
Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain
Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye
Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi


Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao
Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun

Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein
Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil

Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai

Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal Gaye Honge
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge


Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli Chali Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge
Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per


Woh Mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-E-Waqt Kaisa Hai
Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara


Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain
Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi
Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati Hai
Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi


Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai
Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga
Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai


Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein
Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha


Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai

Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch
Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai


Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee
Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai


Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon
Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi
Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon
Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon
Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon


Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao
Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon
Main Bola, Han Mujhe Tum Le Chalo Mere Hi Kamre Mein
Woh Kehti Hai, Ghubaar-E-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan


Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai
Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte
Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho
Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon


Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch
Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai
Woh Kehti Hai, Tamanayein Salamat Hi Nahi Ab To
Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai


Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-E-Sultaan- E-Gham Kyunkar
Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-E-Mohabbat Ke


Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun
Main Kehta Hoon Ke Jab Tak Jang Ki Soorat Nahi Milti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-E-Bala Kahan Per Hai
Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per


Woh Mujh Se Poochti Hhai, Sab Qayam-O-Nazam Kaise Hain
Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai
Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh Sara Nizaam-E-Aadmiyat Hai


Woh Kehti Hai, Main Ajz-E-Fitrat- E-Konain Hoon Janan
Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-E-Khaaki
Woh Kehti Hai, Main Khwab-E-Noor- E-Batin Hoon Sahifon Mein
Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-E-Yazdan


Woh Kehti Hai, Main Husn-E-Narmi Ehsaas Hoon Farhat
Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-E-Lams- E-Shabnam Hoon
Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-E-Itr- E-Surkhi- E-Subah Hoon
Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain


Wwoh Boli, Main Aseer-E-Hijrat Hoon Zamanon Se
Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai
Woh Boli, Main Gul-E-Shaakh- E-Gham-E- Tanhai Hoon Farhat
Main Bola, Main Mazar-E-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein


Woh Boli, Main Mata-E-Ghair Hoon Tere Liye Farhat
Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai
Woh Boli, Main Dar-E-Iwaan- E-Hairan Hoon Zamane Mein
Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon


Woh Boli, Main Talooh-E-Aaftaab Husan Ka Manzar
Main Bola, Han Agar Main Chashm-E-Benaye Tamanna Hoon
Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein


Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai
Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho
Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai
Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne


Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein
Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho
Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki


Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre Se Kya Hasil
Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai
Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein
Main Us Ke Jhoot Per Bola, Khuda Ka Reham Ho Tum Per


Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya
Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-E-Wasl Hota Hai
Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen
Maon Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain
Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein


Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola
Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath Chalte Hain
Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai


Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein


Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed
Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain


Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain
Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain
Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta
Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti


Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti
Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete
Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein
Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai


Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai
Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain
Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai
Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain


Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata
Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain
Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho
Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-O-Deewar Kyunkar Hain


Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai
Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen
Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per


Woh Kehti Hai, Zameend Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Zameend Hum Se Bohat Naraz Rehti Hai
Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain
Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi


Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain
Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain
Kaha Us Ne, Khuda Ache Bure Ki Baat Sunta Hai
Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai
Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon


Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho
Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho
Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang Jaisi Ho


Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon
Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya
Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain


Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein
Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain
Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain


Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein
Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein
Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein
Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain


Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain
Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya Nahi Karta
Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta
Woh Boli, Hum To Ik Shaam-E-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain

Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai

Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain
Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai
Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein
Woh Boli, Eik Deewar-E-Ana Hayil Rahi Ab Tak


Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi
Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa
Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein
Woh B Oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai
Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si


Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi
Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi
Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein
Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain


Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai
Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain
Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya
Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain
Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye


Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni
Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar Ki Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne Dil Mein Ho To Phir
Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta Hai Museebat Mein


Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho
Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata
Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra


Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai
Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya
Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge


Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai
Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai
Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai


Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi
Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle
Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha


Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To
Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi
Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi


Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi
Main Kehta Hoon, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho
Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho


Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha
Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai


Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein
Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya
Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge
Main Kehta Hoon, Khat-E-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle


Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai
Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi


Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho
Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti

Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Khuda Ko Mante Ho Tum
Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon


Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare


Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya
Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke


Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To
Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai Jahanon Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai


Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai
Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi Kya Kam Hai
Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare
Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko


Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho
Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai


Main Kehta Hoon, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai
Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein


Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho
Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye


Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga
Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi
Main Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi


Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai
Main Is Ke Baad Kitni Dair Tak Kuch Bhi Nahi Bola

  

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home