Hitler Israel Today
For those of you who know Urdu/Hindi, here is a poem worth Reading:----------------------------->>>>
Aap ko gar ghar se beghar kar diya jaaye
Aur phir bhatkaav ke sehraaon mein
Zindagi Bhar ke liye haanka kiya jaaye
Jab bhi kuchh tinkay jama karne ki soorat ho
Aag ki baarish mein sab jhulsa diya jaaye?
Aapke maasoom bachchon ko agar
Chheen kar unke khilone bum ke golay de diye jaayein
Phool jaisay narm paaon ko agar
Zindagi bhar ke liye purkhar rastay de diye jaayein?
Doston say sirf zakhmon ki umeed
Aur humsaaye ki bas katraaye jaayein
Raat bhar ko bhi baseraa tak na dein
Mukhbari ke fan mein maahir maane jaayein.
Kya ye mumkin hai ke iss mahaul mein
Har taraf mayoosiyon ke bavajood
Aap apna azm, apni himmatein
Baankpan ya josh ya zindadilee
Ek lamhe ko bhi qaayam rakh sakein?
Inn savaalon ke jawaabon mein agar
Koi "haan" keh de to ussko jaane-man
Bas filisteeni samajhna chaahiye
Usske aagay sar jhukana chaahiye.
This was published, perhaps in 1985, and very widely appreciated. I have also recited this nazm in several Mushairas, as well as to eminent poets such as Kaifi Azmi and Fehmida Riaz.
Let us all pray for peace in Palestine.
Subodh Lal
(Pen name: Subodh "Saaqi")
image028.jpg
image041.jpg
image015.jpg
image018.jpg
image042.jpg
image011.jpg
image001.jpg
image036.jpg
image016.jpg
Labels: Nice Info
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home